apni biti hui rangin jawani dega
mujh ko taswir bhi dega to purani dega
chhoD jaega mere jism mein bikhra ke mujhe
waqt-e-ruKHsat bhi wo ek sham suhani dega
umr bhar main koi jadu ki chhaDi DhunDungi
meri har raat ko pariyon ki kahani dega
ham-safar mil ka patthar nazar aaega koi
fasla phir mujhe us shaKHs ka sani dega
mere mathe ki lakiron mein izafa kar ke
wo bhi mazi ki tarah apni nishani dega
main ne ye soch ke boe nahin KHwabon ke daraKHt
kaun jangal mein lage peD ko pani dega
Ghazal
Apni biti hui rangin jawani dega
Aziz Bano Darab Wafa