apne sae ko itna samjhane de
mujh tak mere hisse ki dhup aane de
ek nazar mein kai zamane dekhe to
buDhi aankhon ki taswir banane de
baba duniya jit ke main dikhla dunga
apni nazar se dur to mujh ko jaane de
main bhi to is bagh ka ek parinda hun
meri hi aawaz mein mujh ko gane de
phir to ye uncha hi hota jaega
bachpan ke hathon mein chand aa jaane de
faslen pak jaen to khet se bichhDengi
roti aankh ko pyar kahan samjhane de
Ghazal
Apne sae ko itna samjhane de
Waseem Barelvi