apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi
main ne kuchh waqt tere sath guzara tha kabhi
aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai
main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi
ab agar ashk umanDte hain to pi jata hun
hausla aap ke daman ne baDhaya tha kabhi
ab usi git ki lai soch rahi hai duniya
main ne jo git teri bazm mein gaya tha kabhi
meri ulfat ne kiya ghair ko mail warna
main teri anjuman-e-naz mein tanha tha kabhi
kar diya aap ki qurbat ne bahut dur mujhe
aap se buad ka ehsas na itna tha kabhi
dost nadan ho to dushman se bura hota hai
mujh ko apne dil-e-nadan pe bharosa tha kabhi
Ghazal
Apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi
Mazhar Imam