apne hamrah KHud chala karna
kaun aaega mat ruka karna
KHud ko pahchanne ki koshish mein
der tak aaina taka karna
ruKH agar bastiyon ki jaanib hai
har taraf dekh kar chala karna
wo payambar tha bhul jata tha
sirf apne liye dua karna
yar kya zindagi hai suraj ki
subh se sham tak jala karna
kuchh to apni KHabar mile mujh ko
mere bare mein kuchh kaha karna
main tumhein aazmaunga ab ke
tum mohabbat ki intiha karna
us ne sach bol kar bhi dekha hai
jis ki aadat hai chup raha karna
Ghazal
Apne hamrah KHud chala karna
Ameer Qazalbash