apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh
dil ki duniya to magar sab se juda rakh
likh bayaz-e-marg mein har ja anal-haq
aur kitab-e-zist mein bab-e-KHuda rakh
us ki rangat aur nikhregi KHizan mein
ye ghamon ki shaKH hai is ko hara rakh
aa hi jaegi udasi baal khole
aaj apne dil ka darwaza khula rakh
yun bhi bah jaega sab sail-e-bala mein
apne ghar ke sab dar-o-diwar Dha rakh
na-muradi ka unhen bhi tajraba ho
un ke raste mein bhi koi saneha rakh
sansanati raat ke aane se pahle
dil mein jati dhup ka TukDa saja rakh
besh-qimat hain ye dil ke zaKHm 'pashi'
in charaghon ko hawaon se bacha rakh
Ghazal
Apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh
Kumar Pashi