اردو हिंदी
Apne dukh-dard ka afsana bana laya hun | Shaahi Shayari
apne dukh-dard ka afsana bana laya hun

Ghazal

Apne dukh-dard ka afsana bana laya hun

Azm Shakri

;

apne dukh-dard ka afsana bana laya hun
ek ek zaKHm ko chehre pe saja laya hun

dekh chehre ki ibarat ko khurachne ke liye
apne naKHun zara kuchh aur baDha laya hun

bewafa lauT ke aa dekh mera jazba-e-ishq
aansuon se teri taswir bana laya hun

main ne ek shahr hamesha ke liye chhoD diya
lekin us shahr ko aaankhon mein basa laya hun

itni ghaflat ki bhi nind achchhi nahin hoti hai
ai charagho uTho dekho main ziya laya hun