apne diwar-o-dar se puchhte hain
ghar ke haalat ghar se puchhte hain
kyun akele hain qafile wale
ek ek ham-safar se puchhte hain
kya kabhi zindagi bhi dekhenge
bas yahi umr-bhar se puchhte hain
jurm hai KHwab dekhna bhi kya
raat-bhar chashm-e-tar se puchhte hain
ye mulaqat aaKHiri to nahin
hum judai ke Dar se puchhte hain
zaKHm ka nam phul kaise paDa
tere dast-e-hunar se puchhte hain
kitne jangal hain in makanon mein
bas yahi shahr bhar se puchhte hain
ye jo diwar hai ye kis ki hai
hum idhar wo udhar se puchhte hain
hain kanizen bhi is mahal mein kya
shah-zadon ke Dar se puchhte hain
kya kahin qatl ho gaya suraj
raat se raat-bhar se puchhte hain
kaun waris hai chhanw ka aaKHir
dhup mein ham-safar se puchhte hain
ye kinare bhi kitne sada hain
kashtiyon ko bhanwar se puchhte hain
wo guzarta to hoga ab tanha
ek ek rahguzar se puchhte hain
Ghazal
Apne diwar-o-dar se puchhte hain
Rahat Indori