apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise
lakh talwaren baDhi aati hon gardan ki taraf
sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise
qahqaha aankh ka bartao badal deta hai
hansne wale tujhe aansu nazar aaen kaise
phul se rang juda hona koi khel nahin
apni miTTi ko kahin chhoD ke jaen kaise
koi apni hi nazar se to hamein dekhega
ek qatre ko samundar nazar aaen kaise
jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim'
us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise
Ghazal
Apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
Waseem Barelvi