apne bare mein jab bhi socha hai
us ka chehra nazar mein ubhra hai
tajrabon ne yahi bataya hai
aadmi shohraton ka bhuka hai
dekhiye to hai karwan warna
har musafir safar mein tanha hai
us ke bare mein sochne walo
dekh lo ab ye haal apna hai
kaun bandish lagae KHushbu ki
ishq fitrat ka ek taqaza hai
yaad aai hai jaane kis kis ki
lab pe jab zikr us ka aaya hai
fikr ki talKHiyon mein gum ho kar
aadmi be-sabab bhi hansta hai
aarzumand koi ho to kahun
mere dil mein bhi ek tamanna hai
mere chehre pe jo likha hai 'nazar'
ghaur se kis ne us ki samjha hai
Ghazal
Apne bare mein jab bhi socha hai
Jamil Nazar