apna gham le ke kahin aur na jaya jae
ghar mein bikhri hui chizon ko sajaya jae
jin charaghon ko hawaon ka koi KHauf nahin
un charaghon ko hawaon se bachaya jae
KHud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataya jae
bagh mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titli ko na phulon se uDaya jae
kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin
yun kiya jae kabhi KHud ko rulaya jae
ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len
kisi rote hue bachche ko hansaya jae
Ghazal
Apna gham le ke kahin aur na jaya jae
Nida Fazli