hai bhi aur phir nazar nahin aati
dhyan mein wo kamar nahin aati
mangta hun magar nahin aati
ye ajal waqt par nahin aati
tere kushton ka roz-e-hashr hisab
ghairat o fitna-gar nahin aati
taba apni bhi ek aandhi hai
KHak uDani magar nahin aati
abr kis kis tarah barasta hai
sharm ai chashm-e-tar nahin aati
tum to yun mahw-e-zulm ho ki hamin
aah karni magar nahin aati
nazr kuchh kar ke dil ko le ki ye jins
muft ai muft-bar nahin aati
muKHtasar haal-e-dard-e-dil ye hai
maut ai chaaragar nahin aati
yarab aabaad ku-e-yar rahe
ki qayamat idhar nahin aati
nind ka kaam garche aana hai
meri aankhon mein par nahin aati
be-tarah paDti hai nazar un ki
KHair dil ki nazar nahin aati
be-pari ne uDa rakha hai mujhe
hasrat-e-baal-o-par nahin aati
sab kuchh aata hai tu nahin aata
gar wafa sim-bar nahin aati
apni is aarzu ko kya kosun
aab wahan tegh par nahin aati
jaan deni to hum ko aati hai
dil ko taskin agar nahin aati
ghair kuchh mangta hai dekhen to
hai tumhein kis qadar nahin aati
dil ki apne jigar pe lun lekin
ek ki ek par nahin aati
dushman aur ek nigah mein lauT na jae
choT puri magar nahin aati
tera kucha hai misr-e-nazara
ki palaT kar nazar nahin aati
un ka aana to ek aana hai
maut bhi waqt par nahin aati
'anwar' is shab ki dekh lo taKHir
subh hoti nazar nahin aati
Ghazal
Hai bhi aur phir nazar nahin aati
Anwar Dehlvi