mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho
wo aatish kya ki sine mein nihan ho
nahin hua aur phir kahne ko yahan ho
harif-e-bad-guman ke hum guman ho
tahayyur-e-fart shauq-e-did se hun
wahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho
suni jati ho jab mahshar mein rudad
to apni KHatm kyunkar dastan ho
wo mustaghni sahi par dil gaya hai
jo phir ho to unhin par kuchh guman ho
jo sach ho wada-e-didar un ka
to baaton mein qayamat kyun ayan ho
mujhe sar phoDne mein uzr kya hai
magar un ka hi hi sang-e-astan ho
tumhein wo parda yahan hai parda-dari
mere dil mein nahin to phir kahan ho
ruka jata hai dam-e-sina mein kya kya
gale par kash KHanjar sa rawan ho
chhupae hum se kya kya raaz apne
agar koi hamara raaz-dan ho
rahe kyun talKHi-e-farhad ka zikr
agar shirin ki shirin dastan ho
zuleKHa par na ho kyun nazish-e-ishq
ki jab yusuf mata-e-karwan ho
adu KHush KHush hai kuchh kah kar suna hai
na manunga kabhi tum be-dahan ho
mila hai baiThe rahne ka sahaara
jahan ho aur tumhaara aastan ho
usi mein faisla samjha hun dil ka
kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho
yahan baiThe ho par kuchh ukhDe ukhDe
nazar milti nahin dil se kahan hun
sarapa soz hai ulfat mein 'anwar'
ajab kya hai agar aatish-zaban ho
Ghazal
Mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho
Anwar Dehlvi