اردو हिंदी
Ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh | Shaahi Shayari
ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh

Ghazal

Ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh

Mehshar Afridi

;

ana ka bojh kabhi jism se utar ke dekh
mujhe zaban se nahin ruh se pukar ke dekh

meri zamin pe chal tez tez qadmon se
phir us ke baad tu jalwe mere ghubar ke dekh

ye ashk dil pe giren to bahut chamakta hai
kabhi ye aaina tezab se nikhaar ke dekh

na puchh mujh se tere qurb ka nasha kya hai
tu apni aankh mein Dore mere KHumar ke dekh

zara tujhe bhi to ehsas-e-hijr ho jaanan
bas ek raat mere haal mein guzar ke dekh

abhi to sirf kamal-e-ghurur dekha hai
tujhe qasam hai tamashe bhi inkisar ke dekh