aks-e-raushan tera aaina-e-jaan mein rakkha
hum ne taswir ko hairat ke jahan mein rakkha
kaun mayus teri bazm-e-inayat se uTha
tere ikram ne kis kis ko guman mein rakkha
koi madhosh na ho saat-e-gul-bosi mein
us ne yun phul ko kanTon ki aman mein rakkha
wo samajhta tha ki hain sach ke KHaridar bahut
rah gaya mal sabhi us ki dukan mein rakkha
yaad hum aa na sake jashn-e-bahaaran mein use
ham-safar jis ne hamein ahd-e-KHizan mein rakkha
ek parinda bhi nahin peD pe baqi 'gulzar'
tir sayyaad ne kis waqt kaman mein rakkha

Ghazal
Aks-e-raushan tera aaina-e-jaan mein rakkha
Gulzar Bukhari