اردو हिंदी
Ajib intishaar hai zamin se aasman tak | Shaahi Shayari
ajib intishaar hai zamin se aasman tak

Ghazal

Ajib intishaar hai zamin se aasman tak

Raghib Muradabadi

;

ajib intishaar hai zamin se aasman tak
ghubar hi ghubar hai zamin se aasman tak

wabaen qaht zalzale lapak rahe hain pai-ba-pai
ye kis ka eqtidar hai zamin se aasman tak

bisat-e-KHak bhi tapan KHala bhi hai dhuan dhuan
bas ek azab-e-nar hai zamin se aasman tak

giraft panja-e-fana mein KHasta-haal-o-KHun-chakan
hayat-e-mustaar hai zamin se aasman tak

fughan-o-ashk-o-ah ka jigar-gudaz silsila
ba-lutf-e-kirdigar hai zamin se aasman tak

mata-e-jabr-e-zindagi hamein bhi jis ne ki ata
usi ka iKHtiyar hai zamin se aasman tak

faraaz-e-arsh ke makin shikasta-dil hamin nahin
har ek be-qarar hai zamin se aasman tak