ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha
KHabar nahin hai ki suraj kidhar se nikla tha
ye kaun phir se unhin raston mein chhoD gaya
abhi abhi to azab-e-safar se nikla tha
ye tir dil mein magar be-sabab nahin utra
koi to harf lab-e-chaaragar se nikla tha
ye ab jo aag bana shahr shahr phaila hai
yahi dhuan mere diwar-o-dar se nikla tha
main raat TuT ke roya to chain se soya
ki dil ka zahr meri chashm-e-tar se nikla tha
ye ab jo sar hain KHamida kulah ki KHatir
ye aib bhi to hum ahl-e-hunar se nikla tha
wo qais ab jise majnun pukarte hain 'faraaz'
teri tarah koi diwana ghar se nikla tha
Ghazal
Ajab junun-e-masafat mein ghar se nikla tha
Ahmad Faraz