ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ta-qayamat na phir aashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe iKHtiyar hota
jo tumhaari tarah tum se koi jhuTe wade karta
tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota
gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khate
ye wo zahr hai ki aaKHir mai-e-KHush-gawar hota
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti
na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
na maza hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
koi ghair ghair hota koi yar yar hota
tere wade par sitamgar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota
ye wo dard-e-dil nahin hai ki ho chaarasaz koi
agar ek bar miTta to hazar bar hota
gae hosh tere zahid jo wo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ulaT na dete jo na baada-KHwar hota
mujhe mante sab aisa ki adu bhi sajde karte
dar-e-yar kaba banta jo mera mazar hota
tumhein naz ho na kyunkar ki liya hai 'dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftiKHar hota
Ghazal
Ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
Dagh Dehlvi