aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi
lekin hum ne maula jaisi zat nahin dekhi
us ki shan-e-ajib ka manzar dekhne wala hai
ek aisa KHurshid ki jis ne raat nahin dekhi
bistar par maujud rahe aur sair-e-haft-aflak
aisi kisi par rahmat ki barsat nahin dekhi
us ki aal wahi jo us ke naqsh-e-qadam par
sirf zat ki hum ne aal-e-sadat nahin dekhi
ek shajar hai jis ki shaKHen phailti jati hain
kisi shajar mein hum ne aisi baat nahin dekhi
ek dariya-e-rahmat hai jo bahta jata hai
ye shan-e-barkat kisi ke sath nahin dekhi
shahon ki tariKH bhi hum ne dekhi hai lekin
us ke dar ke gadaon wali baat nahin dekhi
us ke nam pe maren khana ab eazaz hamara
aur kisi ki ye izzat auqat nahin dekhi
sadiyon ki is dhup chhanw mein koi hamein batlae
puri hui kaun si us ki baat nahin dekhi
ahl-e-zamin ne kaun sa hum par zulm nahin Dhaya
kaun si nusrat hum ne us ke hath nahin dekhi
Ghazal
Aisi tez hawa aur aisi raat nahin dekhi
Obaidullah Aleem