اردو हिंदी
Aish hi aish hai na sab gham hai | Shaahi Shayari
aish hi aish hai na sab gham hai

Ghazal

Aish hi aish hai na sab gham hai

Ali Jawwad Zaidi

;

aish hi aish hai na sab gham hai
zindagi ek hasin sangam hai

jam mein hai jo mishal-e-gul-rang
teri aankhon ka aks-e-mubham hai

ai gham-e-dahr ke giraftaro
aish bhi sarnawisht-e-adam hai

nok-e-mizhgan pe yaad ka aansu
mausam-e-gul ki sard shabnam hai

dard-e-dil mein kami hui hai kahin
tum ne puchha to kah diya kam hai

miTti jati hai banti jati hai
zindagi ka ajib aalam hai

ek zara muskura ke bhi dekhen
gham to ye roz roz ka gham hai

puchhne wale shukriya tera
dard to ab bhi hai magar kam hai

kah raha tha main apna afsana
kyun tera daman-e-mizha nam hai

gham ki tarikiyon mein ai 'zaidi'
raushni wo bhi hai jo maddham hai