aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin
harf o sada fuzul sab lauh o kitab kuchh nahin
un se kaho ki is tarah aankhon se bad-guman na hon
kaise ajib log hain kahte hain KHwab kuchh nahin
baiThe-biThae dil yunhi KHud se uchaT ho gaya
anjuman-e-hawas mein waise KHarab kuchh nahin
farq bahut nahin yahan sham o sahar ke darmiyan
pyas agar dabi rahe aab o sarab kuchh nahin
jaan ka bas ek qarz hai wo bhi utar hi jaega
aur kai aziz ka hum pe hisab kuchh nahin

Ghazal
Aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin
Shamim Hanafi