اردو हिंदी
Aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai | Shaahi Shayari
aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai

Ghazal

Aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai

Yashab Tamanna

;

aisa bhi nahin dard ne wahshat nahin ki hai
is gham ki kabhi hum ne ishaat nahin ki hai

jab wasl hua us se to sarshaar hue hain
aur hijr ke mausam ne riayat nahin ki hai

jo tu ne diya us mein izafa hi hua hai
is dard ki daulat mein KHayanat nahin ki hai

hum ne bhi abhi khol ke rakkha nahin dil ko
tu ne bhi kabhi khul ke wazahat nahin ki hai

is shahr-e-badan ke bhi ajab hote hain manzar
lagta hai abhi tum ne siyahat nahin ki hai

is arz-e-tamanna mein kise chain mila hai
dil ne magar is KHauf se hijrat nahin ki hai

ye dil ke ujaDne ki alamat na ho koi
milne pe ghaDi-bhar ko bhi hairat nahin ki hai