اردو हिंदी
Ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun | Shaahi Shayari
ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun

Ghazal

Ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun

Suroor Barabankvi

;

ai junun kuchh to khule aaKHir main kis manzil mein hun
hun jawar-e-yar main ya kucha-e-qatil mein hun

pa-ba-jaulan apne shanon par liye apni salib
main safir-e-haq hun lekin nargha-e-baatil mein hun

jashn-e-farda ke tasawwur se lahu gardish mein hai
haal mein hun aur zinda apne mustaqbil mein hun

dam-ba-KHud hun ab sar-e-maqtal ye manzar dekh kar
main ki KHud maqtul hun lekin saf-e-qatil mein hun

ek zamana ho gaya bichhDe hue jis se 'surur'
aaj usi ke samne hun aur bhari mahfil mein hun