ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha
tun har ek baat mein dildar ki saugand na kha
ruh-e-chandr-badan ai bul-hawas aazurda na kar
KHub nahin turbat-e-mahyar ki saugand na kha
ye ada sarw mein zinhaar nahin ai qumri
yar ke qamat o raftar ki saugand na kha
KHauf kar KHat ki siyahi sati ai wada-KHilaf
har ghaDi mushaf-e-ruKHsar ki saugand na kha
apni aankhon ki qasam kha ki liya nahin main ne
jaan le kar dil-e-bimar ki saugand na kha
pech de de ke mere dil kun pareshan to kya
nahaq us zulf-e-girah-dar ki saugand na kha
tab us ruKH ki tajalli ki nahin tujh kun 'siraj'
tun abas shola-e-didar ki saugand na kha
Ghazal
Ai dil-e-be-adab us yar ki saugand na kha
Siraj Aurangabadi