ai aarzu-e-qatl zara dil ko thamna
mushkil paDa mera mere qatil ko thamna
tasir-e-be-qarari-e-nakaam aafrin
hai kaam un se shoKH-e-shamail ko thamna
dekhe hai chandni wo zamin par na gir paDe
ai charKH apne tu mah-e-kaamil ko thamna
muztar hun kis ka tarz-e-suKHan se samajh gaya
ab zikr kya hai sama-e-aqil ko thamna
ho sarsar-e-fughan se na kyunkar wo muztarib
mushkil hua hai parda-e-mahmil ko thamna
sikhe hain mujh se nala-e-nai aasman-shikan
sayyaad ab qafas mein anadil ko thamna
ye zulf KHam-ba-KHam na ho kya tab-e-ghair hai
tere junun-zade ki salasil ko thamna
ai hamdam aah talKHi-e-hijran se dam nahin
girta hai dekh jam-e-halahil ko thamna
simab-war mar gae zabt-e-qalaq se hum
kya qahr hai tabiat-e-mail ko thamna
aaghosh-e-gor ho gai aaKHir lahuluhan
aasan nahin hai aap ke bismil ko thamna
sine pe hath dharte hi kuchh dam pe ban gai
lo jaan ka azab hua dil ko thamna
baqi hai shauq-e-chaak-e-gareban abhi mujhe
bas ai rafugar apni anamil ko thamna
mat mangiyo aman buton se ki hai haram
'momin' zaban-e-behuda sail ko thamna
Ghazal
Ai aarzu-e-qatl zara dil ko thamna
Momin Khan Momin