ahl-e-duniya ke liye ye majra hai muKHtalif
pattharon ke shahr mein ek aaina hai muKHtalif
mere bachche kitne hairan hain ki in ke waste
pesh-rau ke naqsh-e-pa ka silsila hai muKHtalif
Dolti hai sans ke tufan mein kashti zist ki
baadbani ke liye ab ke hawa hai muKHtalif
saaton ki dhup ne jab bhi tasalli di ghani
qadd-o-qamat apne sae ka mila hai muKHtalif
chun len aankhon se hamari nind ki sab kirchiyan
waqt ke gunge qabile ki saza hai muKHtalif
dekhiye to sabz kheton mein shuaon ka hai raqs
sochiye to mausam-e-rang-e-ada hai muKHtalif
chashm-e-hairat se na yun dekha karen 'shahin-badr'
mausam-e-iKHlas ki ThanDi hawa hai muKHtalif

Ghazal
Ahl-e-duniya ke liye ye majra hai muKHtalif
Shaheen Badr