اردو हिंदी
Ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main | Shaahi Shayari
ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main

Ghazal

Ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main

Anwar Sadeed

;

ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main
reza reza ruh meri hai magar zinda hun main

main hun wo lamha jo muTThi mein sama sakta nahin
pal mein hun imroz-o-mazi pal mein aainda hun main

wo jo mujh ko phenk aae bheDiyon ke samne
kya gila-shikwa ki un se aap sharminda hun main

mere lafzon mein agar tab-o-tawanai nahin
ai KHuda kyun dahr mein tera numainda hun main

main jo kahta hun samajhta hi nahin koi use
jaise malbe mein dabi basti ka bashinda hun main

mere chehre par munaqqash is tarah tariKH hai
jaise ek kohna ajaib ghar ka bashinda hun main

KHak hun lekin sarapa nur hai mera wajud
is zamin par chand suraj ka numainda hun main

is jahan mein main hi masjud-e-malaik tha 'sadid'
is jahan mein aaj ke insan se sharminda hun main