agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun 
magar tere baad hausla hai ki ji raha hun 
wo reza reza mere badan mein utar raha hai 
main qatra qatra usi ki aankhon ko pi raha hun 
teri hatheli pe kis ne likkha hai qatl mera 
mujhe to lagta hai main tera dost bhi raha hun 
khuli hain aankhen magar badan hai tamam patthar 
koi batae main mar chuka hun ki ji raha hun 
kahan milegi misal meri sitamgari ki 
ki main gulabon ke zaKHm kanTon se si raha hun 
na puchh mujh se ki shahr walon ka haal kya tha 
ki main to KHud apne ghar mein bhi do ghaDi raha hun 
mila to bite dinon ka sach us ki aankh mein tha 
wo aashna jis se muddaton ajnabi raha hun 
bhula de mujh ko ki bewafai baja hai lekin 
ganwa na mujh ko ki main teri zindagi raha hun 
wo ajnabi ban ke ab mile bhi to kya hai 'mohsin' 
ye naz kam hai ki main bhi us ka kabhi raha hun
        Ghazal
Agarche main ek chaTan sa aadmi raha hun
Mohsin Naqvi

