agarche aaina-e-dil mein hai qayam us ka
na koi shakl hai us ki na koi nam us ka
wahi KHuda kabhi milwaega hamein us se
jo intizar karaata hai subh o sham us ka
hamare sath nahin ja saka tha wo lekin
raha KHayal siyahat mein gam gam us ka
KHuda ko pyar hai apne har ek bande se
safed-fam hai us ka siyah-fam us ka
kama ke dete hain jo mal wo amiron ko
hisab kyun nahin lete kabhi awam us ka
hamara farz hai be-lag rae ka izhaar
koi durust kahe ya ghalat ye kaam us ka
kahan hai shaiKH ko sudh-budh mazid pine ki
nasha utar gae tin chaar jam us ka
zaban-e-dil se koi shairi sunata hai
to samain bhulate nahin kalam us ka
'shuur' sab se alag baiThta hai mahfil mein
isi se aap samajh lijiye maqam us ka
Ghazal
Agarche aaina-e-dil mein hai qayam us ka
Anwar Shuoor