agar qadam tere mai-kash ka laDkhaDa jae
to sham-e-mai-kada ki lau bhi tharthara jae
ab is maqam pe lai hai zindagi mujh ko
ki chahta hun tujhe bhi bhula diya jae
mujhe bhi yun to baDi aarzu hai jine ki
magar sawal ye hai kis tarah jiya jae
gham-e-hayat se itni bhi hai kahan fursat
ki teri yaad mein ji bhar ke ro liya jae
unhen bhi bhul chuka hun main ai gham-e-dauran
ab is ke baad bata aur kya kiya jae
na jaane ab ye mujhe kyun KHayal aata hai
ki apne haal pe be-saKHta hansa jae
gurez ishq se lazim sahi magar 'rifat'
jo dil hi baat na mane to kya kiya jae
Ghazal
Agar qadam tere mai-kash ka laDkhaDa jae
Rifat Sultan