agar ghaflat se baz aaya jafa ki
talafi ki bhi zalim ne to kya ki
mare aaghaz-e-ulfat mein hum afsos
use bhi rah gai hasrat jafa ki
kabhi insaf hai dekha na didar
qayamat aksar us ku mein raha ki
falak ke hath se main ja chhupun gar
KHabar la de koi tahtus-sara ki
shab-e-wasl-e-adu kya kya jala hun
haqiqat khul gai roz-e-jaza ki
chaman mein koi us ku se na aaya
gai barbaad sab mehnat saba ki
kushad-e-dil pe bandhi hai kamar aaj
nahin hai KHairiyat band-e-qaba ki
kiya jab iltifat us ne zara sa
paDi hum ko husul-e-muddaa ki
kaha hai ghair ne tum se mera haal
kahe deti hai bebaki ada ki
tumhein shor-e-fughan se mere kya kaam
KHabar lo apni chashm-e-surma-sa ki
diya ilm o hunar hasrat-kashi ko
falak ne mujh se ye kaisi dagha ki
gham-e-maqsad-rasi ta naza aur hum
ab aai maut baKHt-e-na-rasa ki
mujhe ai dil teri jaldi ne mara
nahin taqsir us der-ashna ki
jafa se thak gae to bhi na puchha
ki tu ne kis tawaqqo par wafa ki
kaha us but se marta hun to 'momin'
kaha main kya karun marzi KHuda ki
Ghazal
Agar ghaflat se baz aaya jafa ki
Momin Khan Momin