اردو हिंदी
Agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota | Shaahi Shayari
agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

Ghazal

Agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota

Chakbast Brij Narayan

;

agar dard-e-mohabbat se na insan aashna hota
na kuchh marne ka gham hota na jine ka maza hota

bahaar-e-gul mein diwanon ka sahra mein para hota
jidhar uThti nazar koson talak jangal hara hota

mai-e-gul-rang luTti yun dar-e-mai-KHana wa hota
na pine ki kami hoti na saqi se gila hota

hazaron jaan dete hain buton ki bewafai par
agar un mein se koi ba-wafa hota to kya hota

rulaya ahl-e-mahfil ko nigah-e-yas ne meri
qayamat thi jo ek qatra in aankhon se juda hota

KHuda ko bhul kar insan ke dil ka ye aalam hai
ye aaina agar surat-numa hota to kya hota

agar dam bhar bhi miT jati KHalish KHar-e-tamanna ki
dil-e-hasrat-talab ko apni hasti se gila hota