adu ke takne ko tum idhar dekho udhar dekho
magar hum tum ko dekhe jaen tum chaho jidhar dekho
laDai se yunhi to rokte rahte hain hum tum ko
ki dil ka bhed kah deti hai tum chaho jidhar dekho
adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
na karna tark 'beKHud' mohtasib ke Dar se mai-KHwari
kahin dhabba laga lena na apne nam par dekho
Ghazal
Adu ke takne ko tum idhar dekho udhar dekho
Bekhud Dehlvi