adab ne dil ke taqaze uThae hain kya kya
hawas ne shauq ke pahlu dabae hain kya kya
na jaane sahw-e-qalam hai ki shahkar-e-qalam
bala-e-husn ne fitne uThae hain kya kya
nigah Dal di jis par wo ho gaya andha
nazar ne rang-e-tasarruf dikhae hain kya kya
isi fareb ne mara ki kal hai kitni dur
is aaj kal mein abas din ganwae hain kya kya
pahaD kaTne wale zamin se haar gae
isi zamin mein dariya samae hain kya kya
guzar ke aap se hum aap tak pahunch to gae
magar KHabar bhi hai kuchh pher khae hain kya kya
buland ho to khule tujh pe zor pasti ka
baDe-baDon ke qadam Dagmagae hain kya kya
KHushi mein apne qadam chum lun to zeba hai
wo laghzishon pe meri muskurae hain kya kya
KHuda hi jaane 'yagana' main kaun hun kya hun
KHud apni zat pe shak dil mein aae hain kya kya
Ghazal
Adab ne dil ke taqaze uThae hain kya kya
Yagana Changezi