achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka
yaad aata hai hamein hae zamana dil ka
tum bhi munh chum lo be-saKHta pyar aa jae
main sunaun jo kabhi dil se fasana dil ka
nigah-e-yar ne ki KHana-KHarabi aisi
na Thikana hai jigar ka na Thikana dil ka
puri mehndi bhi lagani nahin aati ab tak
kyunkar aaya tujhe ghairon se lagana dil ka
ghuncha-e-gul ko wo muTThi mein liye aate the
main ne puchha to kiya mujh se bahana dil ka
in hasinon ka laDakpan hi rahe ya allah
hosh aata hai to aata hai satana dil ka
de KHuda aur jagah sina o pahlu ke siwa
ki bure waqt mein ho jae Thikana dil ka
meri aaghosh se kya hi wo taDap kar nikle
un ka jaana tha ilahi ki ye jaana dil ka
nigah-e-sharm ko be-tab kiya kaam kiya
rang laya teri aaankhon mein samana dil ka
ungliyan tar-e-gareban mein ulajh jati hain
saKHt dushwar hai hathon se dabana dil ka
hur ki shakl ho tum nur ke putle ho tum
aur is par tumhein aata hai jalana dil ka
chhoD kar us ko teri bazm se kyunkar jaun
ek janaze ka uThana hai uThana dil ka
be-dili ka jo kaha haal to farmate hain
kar liya tu ne kahin aur Thikana dil ka
baad muddat ke ye ai 'dagh' samajh mein aaya
wahi dana hai kaha jis ne na mana dil ka
Ghazal
Achchhi surat pe ghazab TuT ke aana dil ka
Dagh Dehlvi