achchha tha koi KHwab nazar mein na palte
ek umr sarf ho gai in ko sambhaalte
duniya sanwarne mein rahi apne KHadd-o-KHal
hum aainon pe rah gae patthar uchhaalte
aaKHir ghubar-e-dasht ke hamrah ho liye
kab tak hum is ko wada-e-farda pe Talte
kiDe nikalte hain gul-e-nau-ba-nau mein aap
kya KHub tha jo kiDon se resham nikalte
rakhte rahe charagh sar-e-rahguzar aap
behtar tha us se apne hi ghar ko ujalte
qaem rahenge tum se hi gulshan mein rang-o-bu
rakhiyo na apne zehan mein aise mughaalate
rona usi ka aaj bhi rote ho tum 'salim'
guzre hue zamane pe ab KHak Dalte

Ghazal
Achchha tha koi KHwab nazar mein na palte
Saleem Faraz