achchha jo KHafa hum se ho tum ai sanam achchha
lo hum bhi na bolenge KHuda ki qasam achchha
mashghul kiya chahiye is dil ko kisi taur
le lewenge DhunD aur koi yar hum achchha
garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai
har taur gharaz aap se milna hi kam achchha
aghyar se karte ho mere samne baaten
mujh par ye lage karne naya tum sitam achchha
hum moatakif-e-KHalwat-e-but-KHana hain ai shaiKH
jata hai to ja tu pae-tauf-e-haram achchha
jo shaKHs muqim-e-rah-e-dildar hain zahid
firdaus lage un ko na bagh-e-iram achchha
kah kar gae aata hun koi dam ko abhi main
phir de chale kal ki si tarah mujh ko dam achchha
is hasti-e-mauhum se main tang hun 'insha'
wallah ki is se ba-maraatib adam achchha
Ghazal
Achchha jo KHafa humse ho tum ai sanam achchha
Insha Allah Khan u0027Inshau0027