achchha hua ki mera nasha bhi utar gaya
teri kalai se ye kaDa bhi utar gaya
wo mutmain bahut hai mera sath chhoD kar
main bhi hun KHush ki qarz mera bhi utar gaya
ruKHsat ka waqt hai yunhi chehra khila rahe
main TuT jaunga jo zara bhi utar gaya
bekas ki aarzu mein pareshan hai zindagi
ab to fasil-e-jaan se diya bhi utar gaya
ro-dho ke wo bhi ho gaya KHamosh ek rose
do-chaar din mein rang-e-hina bhi utar gaya
pani mein wo kashish hai ki allah ki panah
rassi ka hath thame ghaDa bhi utar gaya
wo muflisi ke din bhi guzare hain main ne jab
chulhe se KHali hath tawa bhi utar gaya
sach bolne mein nashsha kai botalon ka tha
bas ye hua ki mera gala bhi utar gaya
pahle bhi be-libas the itne magar na the
ab jism se libas-e-haya bhi utar gaya
Ghazal
Achchha hua ki mera nasha bhi utar gaya
Munawwar Rana