abr ka mahtab ka bhi tha
ek zamana sharab ka bhi tha
kuchh tabiat bhi apni mail thi
kuchh jhamela shabab ka bhi tha
raat-bhar teri chandni aur din
yaad ke aaftab ka bhi tha
teri shohrat ke KHas rangon mein
ek mere intiKHab ka bhi tha
chandni mein tere badan ka nikhaar
husn kuchh mahtab ka bhi tha
mausam-e-wasl teri zulfon mein
aastana gulab ka bhi tha
kuchh mere shauq ki tajalli thi
kuchh sarakna naqab ka bhi tha
tund lahron se kya shikayat ho
jism nazuk habab ka bhi tha
umr zindan-e-jabr mein guzri
aur abhi din hisab ka bhi tha
kuchh tera intizar tha aur kuchh
mai-e-gul rang-o-nab ka bhi tha
ye saza-o-jaza ki baat na thi
Dar sawal-o-jawab ka bhi tha
tum agar DhunDte tah-e-dil tak
rasta inqalab ka bhi tha
jis mein tum bas gae kabhi wo ghar
dil-e-KHana-KHarab ka bhi tha
hum to Thahre kashida-sar lekin
hukm-e-hakim itab ka bhi tha
waqt ke chor-aine mein 'munir'
aks chashm-e-pur-ab ka bhi tha

Ghazal
Abr ka mahtab ka bhi tha
Syed Muneer