abhi to aankhon mein na-dida KHwab baqi hain
jo waqt likh nahin paya wo bab baqi hain
saza jo agle sahifon mein thi tamam hui
magar sahifa-e-dil ke azab baqi hain
karoge jama bhala kaise dil ke shishon ko
abhi to dasht-e-falak mein shahab baqi hain
uDa ke le gai aandhi wo harf harf kitab
jo safha safha hain dil ke sarab baqi hain
jo gili ret pe tufan bane guzar bhi gae
wo bhigi palkon mein ab tak sahab baqi hain
wahi to waqt ki be-chehragi hai apni shanaKHt
ki jis pe ab bhi hazaron naqab baqi hain
lahu ke phul KHizan aashna nahin 'tanwir'
ki dasht dasht shafaq ke gulab baqi hain

Ghazal
Abhi to aankhon mein na-dida KHwab baqi hain
Tanveer Ahmad Alvi