abhi KHamosh hain sholon ka andaza nahin hota
meri basti mein hangamon ka andaza nahin hota
jidhar mahsus ho KHushbu usi jaanib baDhe jao
andheri raat mein raston ka andaza nahin hota
jo sadiyon ki kasak le kar guzar jate hain duniya se
moarriKH ko bhi un lamhon ka andaza nahin hota
ye rahbar hain ki rahzan hain masiha hain ki qatil hain
hamein apne numaindon ka andaza nahin hota
nazar ho lakh gahri aur basirat-ashna phir bhi
naqabon mein kabhi chehron ka andaza nahin hota
zamin par aao phir dekho hamari ahmiyat kya hai
bulandi se kabhi zarron ka andaza nahin hota
wafaon ke tasalsul se bhi aksar TuT jate hain
mohabbat ke hasin rishton ka andaza nahin hota
utar jate hain ruh o dil mein kitni wusaten le kar
ghazal ke dilruba lahjon ka andaza nahin hota
saliqe se sajaana aainon ko warna ai 'razmi'
ghalat ruKH ho to phir chehron ka andaza nahin hota
Ghazal
Abhi KHamosh hain sholon ka andaza nahin hota
Muzaffar Razmi