abhi ek shor sa uTha hai kahin
koi KHamosh ho gaya hai kahin
hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh
is se pahle bhi ho chuka hai kahin
tujh ko kya ho gaya ki chizon ko
kahin rakhta hai DhunDhta hai kahin
jo yahan se kahin na jata tha
wo yahan se chala gaya hai kahin
aaj shamshan ki si bu hai yahan
kya koi jism jal raha hai kahin
hum kisi ke nahin jahan ke siwa
aisi wo KHas baat kya hai kahin
tu mujhe DhunD main tujhe DhunDun
koi hum mein se rah gaya hai kahin
kitni wahshat hai darmiyan-e-hujum
jis ko dekho gaya hua hai kahin
main to ab shahr mein kahin bhi nahin
kya mera nam bhi likha hai kahin
isi kamre se koi ho ke widaa
isi kamre mein chhup gaya hai kahin
mil ke har shaKHs se hua mahsus
mujh se ye shaKHs mil chuka hai kahin
Ghazal
Abhi ek shor sa uTha hai kahin
Jaun Eliya