abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum
kisi ke dil ki haqiqat kisi ko kya malum
yaqin to ye hai wo KHat ka jawab likkhenge
magar nawishta-e-qismat kisi ko kya malum
ba-zahir un ko haya-dar log samjhe hain
haya mein jo hai shararat kisi ko kya malum
qadam qadam pe tumhaare hamare dil ki tarah
basi hui hai qayamat kisi ko kya malum
ye ranj o aish hue hijr o wasl mein hum ko
kahan hai dozaKH o jannat kisi ko kya malum
jo saKHt baat sune dil to TuT jata hai
is aaine ki nazakat kisi ko kya malum
kiya karen wo sunane ko pyar ki baaten
unhen hai mujh se adawat kisi ko kya malum
KHuda kare na phanse dam-e-ishq mein koi
uThai hai jo musibat kisi ko kya malum
abhi to fitne hi barpa kiye hain aalam mein
uThaenge wo qayamat kisi ko kya malum
janab-e-'dagh' ke mashrab ko hum se to puchho
chhupe hue hain ye hazrat kisi ko kya malum
Ghazal
Abhi hamari mohabbat kisi ko kya malum
Dagh Dehlvi