ab wo sina hai mazar-e-arzu
tha jo ek din shola-zar-e-arzu
ab tak aankhon se Tapakta hai lahu
bujh gaya tha dil mein KHar-e-arzu
rang o bu mein Dube rahte the hawas
hae kya shai thi bahaar-e-arzu

Ghazal
Ab wo sina hai mazar-e-arzu
Akhtar Ansari