اردو हिंदी
Ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha | Shaahi Shayari
ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

Ghazal

Ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha

Jaun Eliya

;

ab wo ghar ek virana tha bas virana zinda tha
sab aankhen dam toD chuki thin aur main tanha zinda tha

sari gali sunsan paDi thi baad-e-fana ke pahre mein
hijr ke dalan aur aangan mein bas ek saya zinda tha

wo jo kabutar us mukhe mein rahte the kis des uDe
ek ka nam nawazinda tha aur ek ka bazinda tha

wo dopahr apni ruKHsat ki aisa-waisa dhoka thi
apne andar apni lash uThae main jhuTa zinda tha

thin wo ghar raaten bhi kahani wade aur phir din ginna
aana tha jaane wale ko jaane wala zinda tha

dastak dene wale bhi the dastak sunne wale bhi
tha aabaad mohalla sara har darwaza zinda tha

pile patton ko sah-pahr ki wahshat pursa deti thi
aangan mein ek aundhe ghaDe par bas ek kawwa zinda tha