ab tum ko hi sawan ka sandesa nahin banna
mujh ko bhi kisi aur ka rasta nahin banna
kahti hai ki aankhon se samundar ko nikalo
hansti hai ki tum se to kinara nahin banna
mohtat hai itni ki kabhi KHat nahin likhti
kahti hai mujhe auron ke jaisa nahin banna
taswir banaun to bigaD jati hai mujh se
aisa nahin banna mujhe waisa nahin banna
is tarah ke lab kaun tarashega dobara
is tarah ka chehra to kisi ka nahin banna
chehre pe kisi aur ki palken nahin jhukti
aankhon mein kisi aur ka naqsha nahin banna
main soch raha hun ki main hun bhi ki nahin hun
tum zid pe aDi ho ki kisi ka nahin banna
main raat ki inTen to bahut joD raha hun
par mujh se tere din ka daricha nahin banna
inkar to yun karti hai jaise ki kabhi bhi
chhanw nahin banna use saya nahin banna
is dard ki tahwil mein rahte hue hum ko
chup-chap bikharna hai tamasha nahin banna
us ne mujhe rakhna hi nahin aankhon mein 'amir'
aur mujh se koi aur Thikana nahin banna
Ghazal
Ab tumko hi sawan ka sandesa nahin banna
Aamir Suhail