ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai
hum ne us ke shahr ko chhoDa aur aankhon ko mund liya hai
apna ye shewa to nahin tha apne gham auron ko saunpen
KHud to jagte ya sote hain us ko kyun be-KHwab kiya hai
KHilqat ke aawaze bhi the band us ke darwaze bhi the
phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka nam liya hai
hijr ki rut jaan-lewa thi par ghalat sabhi andaze nikle
taza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya hun wo bhi jiya hai
ek 'faraaz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho
warna aksar dil walon ne dard ka rasta chhoD diya hai
Ghazal
Ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai
Ahmad Faraz