ab kisi se mera hisab nahin
meri aankhon mein koi KHwab nahin
KHun ke ghunT pi raha hun main
ye mera KHun hai sharab nahin
main sharabi hun meri aas na chhin
tu meri aas hai sarab nahin
noch phenke labon se main ne sawal
taqat-e-shoKHi-e-jawab nahin
ab to punjab bhi nahin punjab
aur KHud jaisa ab do-ab nahin
gham abad ka nahin hai aan ka hai
aur is ka koi hisab nahin
budash ek ru hai ek ru yani
is ki fitrat mein inqalab nahin
Ghazal
Ab kisi se mera hisab nahin
Jaun Eliya