ab ke baras honTon se mere tishna-labi bhi KHatm hui
tujh se milne ki ai dariya majburi bhi KHatm hui
kaisa pyar kahan ki ulfat ishq ki baat to jaane do
mere liye ab us ke dil se hamdardi bhi KHatm hui
samne wali building mein ab kaam hai bas aaraish ka
kal tak jo milti thi hamein wo mazduri bhi KHatm hui
jail se wapas aa kar us ne pancho waqt namaz paDhi
munh bhi band hue sab ke aur badnami bhi KHatm hui
jis ki jal-dhaara se basti wale jiwan pate the
rasta badalte hi naddi ke wo basti bhi KHatm hui

Ghazal
Ab ke baras honTon se mere tishna-labi bhi KHatm hui
Tahir Faraz