اردو हिंदी
Ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se | Shaahi Shayari
ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se

Ghazal

Ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se

Jaleel Manikpuri

;

ab kaun phir ke jae teri jalwa-gah se
o shoKH chashm phunk de barq-e-nigah se

kis shan se chala hai mera shahsawar-e-husn
fitne pukarte hain zara haT ke rah se

jhapki palak tu barq falak se zamin pe thi
sambhla na koi gir ke tumhaari nigah se

dilchasp ho gai tere chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-rah lipaTti hai rah se

mizan khaDi hui mere aage na roz-e-hashr
dabna paDa use mere bar-e-gunah se

dekho phir aise dekhne wale na paoge
kyun KHak mein milate ho nichi nigah se

aaine aarsi to faqat dekhne ke hain
dekho tum apne husn ko meri nigah se

kasrat se mai jo pi hai nazar hai maal par
rasha nahin hai kanp raha hun gunah se

paya buland kyun na hamara ho ai 'jalil'
paya hai faiz amir-e-suKHan dastgah se