ab itni sadgi laen kahan se
zamin ki KHair mangen aasman se
agar chahen to wo diwar kar den
hamein ab kuchh nahin kahna zaban se
sitara hi nahin jab sath deta
to kashti kaam le kya baadban se
bhaTakne se mile fursat to puchhen
pata manzil ka mir-e-karwan se
tawajjoh barq ki hasil rahi hai
so hai aazad fikr-e-ashiyan se
hawa ko raaz-dan hum ne banaya
aur ab naraaz KHushbu ke bayan se
zaruri ho gai hai dil ki zinat
makin pahchane jate hain makan se
fana-fil-ishq hona chahte the
magar fursat na thi kar-e-jahan se
wagarna fasl-e-gul ki qadr kya thi
baDi hikmat hai wabasta KHizan se
kisi ne baat ki thi hans ke shayad
zamane bhar se hain hum KHud guman se
main ek ek tir pe KHud Dhaal banti
agar hota wo dushman ki kaman se
jo sabza dekh kar KHeme lagaen
unhen taklif kyun pahunche KHizan se
jo apne peD jalte chhoD jaen
unhen kya haq ki ruThen baghban se
Ghazal
Ab itni sadgi laen kahan se
Parveen Shakir